wewwqew

khoon nichor laita Hai

Tumaam oumar tarptay rahain ksi k lye


Tumaam oumar tarptay rahain ksi k lye
Or apni mout bhi aaye to bass osi k lye

Jwaaz Tark-e-Taluq to Kuch na tha, Phir bhi
Bichar gya hoon mein tujh se teri Khushi k lye

Khula yai bhaid bhi lakin tujhe ganwa k Khula
Munafqt bhi zrori thi Dosti _____ Dosti k lye

Wo baykhbar hi sahi mare haal se,,,, yaksar
mein Muztrab hoon magar Aaj bhi osi k lye

Agar talu-e-sahr ka yakeen ho Mujh ko
Mein dil k sath hi jal jaoon Roshni k lye

Kabhi onhain bhi daikh mare Nabz Shinaas
Azaab sahty hain, jo jetay hain ksi or k lye

Tujhe bhula kar jiyoon asi bad'dua bhi na day





Tujhe bhula kar jiyoon asi bad'dua bhi na day
khuda mujhe yai tahmul yai Hosla bhi na day

Mare biyaan-e-Safa'e k darmiyaan mat bol
Sunay bagair mujhe apna faisla bhi na day

yai Oumar mein ne tere Naam bay-talab likh di
Bhalay se Daman-e-Dil mein jga bhi na day

Yai Din bhi aaen gay asa kabhi na socha tha
Wo Mujh ko dakh bhi lay or Muskura bhi dna day

Yai Ranjishain to Mohabbat k Phool hain Sajid
Taluq ko is bat par Banwa bhi na day

A Ghazal by Aetbar Sajid

Kuch kahne ka waqat nahhi ya

Kuch kahne ka waqat nahhi yai-- kcfha na kaho, Khamosh rho
A  Logo khamosh rho__________ haan A logo Khamosh rho

Sach acha hai magar is k jalu mein,,,,,,,, Zahr ka aik piyala bhi
pagal ho? kyn na haq ko Suqraat bno,,,,,,,,,,,,, Khamoosh rho

Haq acha magar_________ is k Lye, koi or mare to or achaa
Tum bhi koi Mansoor ho jo Souli par Charhoo? khamosh rho

On ka yai kahna k Sourj hi Dharti k phairy_______ karta hai
Sir aankho par, Souraj ko hi ghomny do______Khamosh rho

Majlis mein kuch or jis hai or zanjeer ka aahan chubta hai
phir socho haan phir socho, haan phir socho, Khamoosh rho

Gram aansu or thandi aahain, Man mein kiya kiya Mousam hai
is bagya k bhaid na khoulo_______ sair karo, Khamoosh rho

Aankhain Mound kinare Baitho, Mann  k rakho band Kwarr
insha jee lo dhaga lo or lab se lo___________, Khamosh rho

Ham ne kaha kmaal ho jo tum

Ham ne kaha kmaal ho jo tum ham ko bhula sako
ham ne to faqat bat ki thi, onho ne kmaal kardia


Rotha rahy wo Mujh se Manzoor hai

Rotha rahy wo Mujh se Manzoor hai Mujhe Lekin
Yaro ose samhjao mera shahr na choray........!!!!!